siyahkar the ba-safa ho gae hum tere ishq mein kya se kya ho gae hum na jaana ki shauq aur bhadkega mera wo samjhe ki us se juda ho gae hum dam-e-wapsin aae pursish ko nahaq bas ab jao tum se khafa ho gae hum hue mahw kis ki tamanna mein aise ki mustaghni-e-ma-siwa ho gae hum unhen ranj ab kyun hua hum to khush hain ki mar kar shahid-e-wafa ho gae hum jab un se adab ne na kuchh munh se manga to ek paikar-e-iltija ho gae hum teri fikr ka mubtila ho gaya dil magar qaid-e-gham se riha ho gae hum fana ho ke rah-e-mohabbat mein 'hasrat' saza-war-e-khuld-e-baqa ho gae hum