sitam ka hath na roka magar bura to kaha jo zer-e-lab sabhi kahte the barmala to kaha tamam-shahr tha munkir tere talluq se gharib-e-shahr tujhe hum ne aashna to kaha pighal rahi hai taghaful ki barf ab shayad ki muskura ke mujhe yar bewafa to kaha wafa ka qaht hai itna ki ab sar-e-maqtal main is pe khush hun ki yaron ne marhaba to kaha hoi na sina-sipar go himayat-e-haq mein jo misl-e-tegh tha wo harf-e-haq-numa to kaha