kuchh ajab aan se logon mein raha karte the hum khafa ho ke bhi aapas mein mila karte the itni tahzib-e-rah-o-rasm to baqi thi ki wo lakh ranjish sahi wada to wafa karte the us ne puchha tha kai bar magar kya kahte hum mizajan hi pareshan raha karte the khatm tha hum pe mohabbat ka tamasha goya ruh aur jism ko har roz juda karte the ek chup-chap lagan si thi tere bare mein log aa aa ke sunate the suna karte the teri surat se khuda se bhi shanasai thi kaise kaise tere milne ki dua karte the us ko ham-rah liye aate the meri khatir mere gham-khwar mere haq mein bura karte the zindagi hum se tere naz uthae na gae sans lene ki faqat rasm ada karte the hum baras padte the 'shaz' apni hi tanhai par abr ki tarah kisi dar se utha karte the