sitam karna karam karna wafa karna jafa karna magar jo ahd kar lena wo aakhir tak wafa karna kiya khalwat mein mujh ko qatl aur mahfil mein rote ho qayamat dha ke achchha yaad hai mahshar bapa karna bata ai husn kab tak ishq ki taqdir mein aakhir ba-minnat dil diya karna ba-hasrat munh taka karna na dil wapas na dildari ye kya shewa hai tum ko to na aaya qarz ada karna na aaya farz ada karna sharab-e-ishq har millat mein har mazhab mein jaez hai ye kya aafat hai ai waiz rawa ko narawa karna nigah-e-mast-e-saqi baada-khwaron se ye kahti hai buton ki jab nazar se gir pado yaad-e-khuda karna tumhaara nam-lewa mo'taqid aulad-e-midhat-gar 'sakha' ki mushkilen hal ya-ali mushkil-kusha karna