sitam karne wale sitam kar rahe hain hum ahl-e-karam hain karam kar rahe hain sitamgar ki aankhon ko nam kar rahe hain jo mushkil tha wo kaam hum kar rahe hain khuda un ko rahmat se kaise nawaze jo sar apna har dar pe kham kar rahe hain bahut yaad aate hain mazi ke jhonke wahi meri aankhon ko nam kar rahe hain zarur is mein hai maslahat koi warna wo kyon mujh pe itna karam kar rahe hain ujala hai mahfil mein jin ki badaulat unhen aap mahfil se kam kar rahe hain nigahon mein us ka tasawwur bhi rakhiye agar aap sar apna kham kar rahe hain