sitam ke baad karam ki ada bhi khub rahi jafa to khair jafa thi wafa bhi khub rahi ba-faiz-e-gardish-e-dauran unhen bhi pyar aaya ba-pas-e-maslahat un ki raza bhi khub rahi ba-sad-khulus qanaat ki dad milti hai gada-nawazi-e-ahl-e-sakha bhi khub rahi lagi hai mohr muqaddar ki dane dane par ye khush-mazaqi-e-shan-e-khuda bhi khub rahi kahin shikam ke taqaze nazar nahin aate charagh-e-dair-o-haram ki ziya bhi khub rahi hamare hath se aati hai bu-e-pairahan hamare husn-e-talab ki ada bhi khub rahi