na mohtasib se ye mujh ko gharaz na mast se kaam mujhe to lena hai saqi ke aaj dast se kaam sanam tu meri parastish ki qadr tab jaane ki jab pade tujhe kafir khuda-parast se kaam main gosha-gir hua sair kar nasheb o faraaz raha na mere qadam ko buland o past se kaam rakhe hai shisha mera sang sath rabt-e-qadim ki aath pahr mere dil ko hai shikast se kaam jise masawi hai mazi o haal o mustaqbil use raha nahin aainda bud-o-hast se kaam main kufr o din se guzar kar hua hun la-mazhab khuda-parast se matlab na but-parast se kaam kisu ko qaid kare hai kisu ko bandhe hai wo le hai apne amal bich band-o-bast se kaam dil us ki zulf ke pechon mein 'hatim' uljha hai rakhe nahin hai mera said dam o shust se kaam