sitam ki rasmen bahut thin lekin na thi teri anjuman se pahle saza khata-e-nazar se pahle itab jurm-e-sukhan se pahle jo chal sako to chalo ki rah-e-wafa bahut mukhtasar hui hai maqam hai ab koi na manzil faraaz-e-dar-o-rasan se pahle nahin rahi ab junun ki zanjir par wo pahli ijara-dari giraft karte hain karne wale khirad pe diwana-pan se pahle kare koi tegh ka nazara ab un ko ye bhi nahin gawara ba-zid hai qatil ki jaan-e-bismil figar ho jism o tan se pahle ghurur-e-sarw-o-saman se kah do ki phir wahi tajdar honge jo khar-o-khas wali-e-chaman the uruj-e-sarw-o-suman se pahle idhar taqaze hain maslahat ke udhar taqaza-e-dard-e-dil hai zaban sambhaalen ki dil sambhaalen asir zikr-e-watan se pahle