sitam sikhlaega rasm-e-wafa aise nahin hota sanam dikhlaenge rah-e-khuda aise nahin hota gino sab hasraten jo khun hui hain tan ke maqtal mein mere qatil hisab-e-khun-baha aise nahin hota jahan-e-dil mein kaam aati hain tadbiren na taziren yahan paiman-e-taslim-o-raza aise nahin hota har ek shab har ghadi guzre qayamat yun to hota hai magar har subh ho roz-e-jaza aise nahin hota rawan hai nabz-e-dauran gardishon mein aasman sare jo tum kahte ho sab kuchh ho chuka aise nahin hota