sitam ki tegh ye kahti hai sar na uncha kar pukarti hai bulandi ki zindagi hai idhar chaman mein hum na rahenge tere palatne tak thahar thahar zara jati hui bahaar thahar koi fareb na khae safed-poshi se na jaane kitne sitare nigal gai hai sahar tu jauhri hai to zeba nahin tujhe ye gurez mujhe parakh meri shohrat ka intizar na kar 'hafiz' kitne hi chehre udas hone lage hamare fan ko sarahen bahut na ahl-e-nazar