sitam ko jo sitam kahta nahin hai

sitam ko jo sitam kahta nahin hai
wo achchha aadmi achchha nahin hai

qabile mein koi aisa nahin hai
adu se jis ka samjhauta nahin hai

main lashon ko sadaen de raha hun
ki zindon mein koi zinda nahin hai

meri poshak par paiwand to hain
meri poshak par dhabba nahin hai

hilana hath tera jate jate
wo manzar aaj bhi bhula nahin hai

safar mein aa gai ye kaisi manzil
jahan aage koi rasta nahin hai

hamari aah par bahsen bahut hain
tumhaare jurm ka charcha nahin hai

ada-e-shaikh-sarhindi salamat
kisi bul-fazl se rishta nahin hai

suna hai zill-e-subhani hain naraaz
abhi 'bazmi' to kuchh bola nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close