tere hijr ne ata ki ye ajib be-qarari

tere hijr ne ata ki ye ajib be-qarari
na sakat hai zabt-e-gham ki na majal-e-ashk-bari

mere somnat-e-dil par saf-e-ghaznawi se badh kar
teri shabnami adaen tera tarz-e-gham-gusari

main kahan hun aur kya hun tu kahan hai aur kya hai
isi justuju mein guzri kabhi raat sari sari

ye satiza-gah-e-alam ye harif-e-zulf-e-barham
na junun-e-fitna-saman na khirad ki hoshiyari

tu meri nazar mein kafir main teri nazar mein kafir
main asir-e-zulf-e-jaanan tu haris-e-shahryari

meri khushk kisht-e-dil par tere lafz barq-e-muztar
ki dhuan dhadhak na jae teri tohmaton pe wari

ye mujaviran-e-ka'ba inhen kya hua khudaya
tere doston se nafrat tere dushmanon se yari

koi rustami se kah de koi marhabi se kah de
main ghulam-e-mustafa hun mera shauq jaan-nisari

hai bayan-e-haal-e-gulshan ye jale jale nasheman
ye ghuti-ghuti fazaen ye gulon ki aah-o-zari

ai ghurur-e-banda-parwar tujhe ho jo khauf-e-mahshar
to sarir-e-saltanat bhi hai kulah-e-khardari

rah-e-zindagi mein 'bazmi' ye mata-e-dil ki bazi
kabhi rahzanon se haari kabhi rahbaron se haari


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close