sitam sehat hue har din nai khwahish se darta hun meri aankhon mein gham hai aur main barish se darta hun meri pakizgi ne hi banaya hai mujhe munsif so main insaf karte waqt har laghzish se darta hun dilon ki wusaton ko bant hi sakti nahin duniya main qiston mein banta hun aur paimaish se darta hun jalata hun mohabbat ke diye nafrat ke aangan mein nazar rakhta hun dushman par har ek shorish se darta hun meri aawargi mujh ko kahin rukne nahin deti parinda hun rihaish ki har ek khwahish se darta hun ghazal mein justuju rakhta hun main mafhum-e-taza ka mere naqid main khud lafzon ki aaraish se darta hun ajab ehsas ki manzil pe aa pahuncha hun ai 'rahi' lagata hun dilon mein aag aur jumbish se darta hon