wafa-koshi nahin jati sitam-rani nahin jati ye apni apni aadat hai ba-asani nahin jati hijabon se haqiqat ki darakhshani nahin jati ki lau fanus ke andar hai tabani nahin jati junun-e-ishq ki ai dil farawani nahin jati ki manzil samne hai aur pahchani nahin jati nahin jati hamari khana-virani nahin jati ki shoale bujh chuke hain shoala-samani nahin jati tajahul aarifana un ka bazm-e-ghair mein tauba ki pahchani hui surat bhi pahchani nahin jati chaman mein raat bhar go baada-e-shabnam barasti hai gul-o-bulbul ki phir bhi pak-damani nahin jati kahan hum hain ki man-mani tumhaari man lete hain hamari manne ki baat bhi mani nahin jati nigah-e-husn hi kuchh kaam kar jae to mumkin hai rafu karne se warna chaak-damani nahin jati mukhalif kuchh karen urdu zaban mit hi nahin sakti ki jab tak apni mahfil se ghazal-khwani nahin jati mohabbat 'mauj' wo dariya hai jis ki thah mushkil hai agar ek bar aa jati hai tughyani nahin jati