sitam-shiar zamane pe khauf tari rakh mile tu jab bhi sharifon se inkisari rakh tujhe milega tera muddaa zarur ek din magar hai shart musalsal talash jari rakh ye tera husn kahin hadisa na ban jae sitam-zarif zamane se hoshiyari rakh safar pe kab tujhe jaana pade ye kya malum jo kaam waqt pe aae wahi sawari rakh tujhe waqar bachana hai har tarah apna har ek baat ki duniya se hoshiyari rakh unhin ke faiz se hal hongi mushkilen sari khuda-parast buzurgon ki jaankari rakh na jine denge watan mein tere tujhe 'ahmar' munafiqon ke liye tu bhi zoam-dari rakh