ajab sukut sa tari hai dil ke KHanon mein

ajab sukut sa tari hai dil ke khanon mein
ki dhadkanen bhi meri gunjti hain kanon mein

zara si tirgi dekhen jo aasmanon mein
tuyur lautne lagte hain aashiyanon mein

ek ek kar ke sabhi kuch karte jate hain
koi paret hai kya shahr ke makanon mein

wo jin mein dekhne se dil ka haal dikh jae
koi wo aaine rakh de nigar khanon mein

darun-e-dil jo teri yaad ke dafine hain
bahut se qimti moti hain in khazanon mein

sukhan ke shahr mein kuchh bhi naya nahin aaya
purana mal hi bikta hai sab dukanon mein

kisi bhi haal mein us ko mana ke le aaun
palat sakun jo main guzre hue zamanon mein

gulab sukh ke shakhon se jhad gae kab ke
ye chand khar hi baqi hain phul-danon mein

kabhi jo pyar mohabbat ki baat niklegi
hamara nam bhi aaega dastanon mein

wo jis mein jaan se badh kar thi yar ki izzat
'zaki' wo aashiqi milti hai ab fasanon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close