sitamgaron ki itaat qubul karta hai jadid daur ka insan bhi bhul karta hai tamam aaza hain gumrah ummaton ki tarah bas ek dil hai jo kar-e-rasul karta hai badi azim dua se nawaz kar sail bahut haqir si qimat wasul karta hai kahan mahakte the pahle mere dar-o-diwar ye kaam us ki mohabbat ka phul karta hai fasana chhed ke guzre hue zamane ka wo apne sath mujhe bhi malul karta hai hamare bas mein nahin hai mohabbaton ka nizam wo hum se harf-e-shikayat fuzul karta hai mujhe to raqs bhi karne ka fan nahin aata zamana kis liye meri nuqul karta hai bichhad gaya hai koi to koi milega bhi 'riyaz' kis liye khud ko malul karta hai