kis ki khoi hui hansi thi main kis ke honton pe aa gai thi main kin zamanon pe munkashif hui hun kin zamanon ki raushni thi main main kisi shakhs ki udasi thi sard lahje mein bolti thi main din dhale lautte parindon ko ghar ki khidki se dekhti thi main kash ek bar dekh lete tum raste mein padi hui thi main ab jo afsurdagi ki chadar hun mausam-e-gul ki odhni thi main khud ko daryaft karne nikli hun yani khud se kahin khafi thi main gungunata tha shab ke pichhle pahar jaane kis dil ki ragni thi main phir december tha sard raaten thin shahr sota tha jagti thi main us ne jab hath hath par rakkha surkh phulon se bhar gai thi main aaj dekha tha aaina main ne aur phir der tak hansi thi main jaane kya baat yaad aai mujhe hanste hanste jo ro padi thi main main ne ek sham pa liya tha use us se ek raat kho gai thi main jaanta kaun mujh ko mere siwa ghar ke andar bhi ajnabi thi main meri parten nahin khulin ab tak dewtaon ki shairi thi main khud se takra gai thi 'jaanan' kahin apne raste mein aa gai thi main