sitamgaron se darun chup rahun nibah karun khuda wo waqt na lae main ye gunah karun meri nazar mein ana ke sharar salamat hain inhen bujhaun to tazim kam-nigah karun meri zaban ko saliqa nahin guzarish ka main apne haq se ziyaada na koi chah karun pahad mere tahawwur ka istiara hai main pastiyon se bhala kaise rasm-o-rah karun masaf-e-zist mein mujh ko bas aagahi de do haram hai jo talab phir koi sipah karun kisi ko khauf-e-salasil kisi ko hirs-e-karam main apne haq mein khudaya kise gawah karun sitam to ye hai ki fauj-e-sitam mein bhi 'anjum' bas apne log hi dekhun jidhar nigah karun