tahayyur hai bala ka ye pareshani nahin jati ki tan dhakne pe bhi jismon ki uryani nahin jati yahan ahd-e-hukumat ijz ka kis taur aaega ki taj-o-takht ki fitrat se sultani nahin jati bujhe suraj pe bhi aangan mera raushan hi rahta hai dahakte hon agar jazbe to tabani nahin jati muqaddar kar le apni si hum apni kar guzarte hain muqaddar se ab aise haar bhi mani nahin jati agar aata hun sahil par to aandhi gher leti hai samundar mein utarta hun to tughyani nahin jati ye kaise khurdure mausam guzar aaya hun main 'anjum' ki khud mujh se hi meri shakl pahchani nahin jati