sitara ek bhi baqi bacha kya nigodi dhup kha jati hai kya kya falak kangal hai ab puchh lije sahar ne munh dikhai mein liya kya sab ek bahre fana ke bulbule hain kisi ki ibtida kya intiha kya jazire sar utha kar hans rahe hain zara socho samundar kar saka kya khirad ek nur mein zam ho rahi hai jharoka aagahi ka khul gaya kya bahut sharmaoge ye jaan kar tum tumhaare sath khwabon mein kiya kya use khud-kush nahin majbur kahiye badal deta wo dil ka faisla kya barahna tha main ek shishe ke ghar mein mera kirdar koi kholta kya ajal ka khauf tari hai azal se kisi ne ek lamha bhi jiya kya makin ho kar muhajir ban rahe ho miyan yak-lakht bheja phir gaya kya khuda bhi dekhta hai dhyan rakhna khuda ke nam par tum ne kiya kya utha kar sar bahut ab bolta hun mera kirdar bauna ho gaya kya