thakan ke sath badha halqa-e-nazar mera hua na khatm kisi mod par safar mera ubur kar lun abhi zindagi ka virana khada hua hai magar raste mein dar mera bhatak raha hun main haalat ke andheron mein chamak raha hai tere aansuon se ghar mera mila jo qurb to raushan hue sabhi khake taras raha tha usi aag ko hunar mera khud apne aap ko samjha ke laut aaya hun koi bhi bas na chala jab hujum par mera wo shor tha na suni apne jism ki aawaz bula raha tha mujhe kab se ham-safar mera main ghar gaya hun makanon ke darmiyan 'rashid' pada nahin abhi saya zamin par mera