sitara sham se nikla hua hai diya bhi taq mein rakkha hua hai kahin wo raat bhi mahki hui hai kahin wo chand bhi chamka hua hai abhi wo aankh bhi soi nahin hai abhi wo khwab bhi jaga hua hai kisi baadal ko chhu kar aa rahi hai hawa ka pairahan bhiga hua hai zamin be-aks ho kar rah gai hai falak ka aaina maila hua hai khamoshi jhankti hai khidkiyon se gali mein shor sa phaila hua hai hawa gum-sum khadi hai raste mein musafir soch mein duba hua hai koi nindon mein khushbu gholta hai daricha khwab ka mahka hua hai kisi guzre baras ki diary mein tumhaara nam bhi likkha hua hai charagh-e-sham ki aankhen bujhi hain sitara khwab ka tuta hua hai safar ki raat hai 'nasir' dilon mein ajab ek dard sa thahra hua hai