sab hai fani yahan sansar mein kis ka kya hai fikr phir bhi hai tujhe apna paraya kya hai aap ka pahla hi andaz bata deta hai aap ko aap ke walid ne sikhaya kya hai zindagi khud pe tu itna bhi guman mat karna chand sanson ke siwa tera asasa kya hai phir se ek aur ladai ke bahane ke siwa tum bata do ki kisi jang se milta kya hai umr bhar kuchh na kiya jis ki tamanna ke siwa us ne puchha bhi nahin meri tamanna kya hai kuchh gharibon ki gali mein bhi diye jal jaen is se behtar bhi diwali ka ujala kya hai koi jazba koi ehsas na dhadkan hai koi ye agar dil hai mere dost to sahra kya hai dam man-mane use de ke kharida tu ne dekh to le tujhe bazar ne becha kya hai wahi bhuke wahi aahen wahi aansu hain 'sahab' shahr ka nam badal jaane se badla kya hai