sitare jab kisi mahtab ka qissa sunate hain mere khwabon ke aangan mein ujale muskuraate hain haqiqat samne lane se jab daman bachate hain to gir kar aaine hathon se khud hi tut jate hain hamein to muskurane ke siwa kuchh bhi nahin aata hujum-e-gham mein bhi hum log yun hi muskuraate hain chalo ai baada-khwaro chal ke un ki khairiyat puchhen suna hai shaikh sahab mai-kade mein pae jate hain mohabbat mein nadamat ke siwa kuchh bhi nahin paya magar phir bhi mohabbat se kahan hum baz aate hain tum hi ruthe hue ho jab hamare dil ki duniya se chalo phir hum bhi apni zindagi se ruth jate hain yahi hai farq zahid aur aashiq ki ibaadat mein ye apna sar jhukata hai wo apna dil jhukate hain meri ummid aksar chahti hai surkh-ru hona magar haalat aksar mujh ko aaina dikhate hain