kitne din habs-e-musalsal mein basar hote hain bade ashaar bade gham ka samar hote hain hikmat-e-waqt bhi karti hai ata jin ko khiraj main isi soch mein hun kya wo hunar hote hain mustaqil bojh na thahrae sabhi ko ye zamin izzat-e-khak bhi kuchh khak-basar hote hain khali shakhon ka bhi hota hai bhala koi maqam jo shajar chhanw bichha den wo shajar hote hain ham-safar kaisi bitha jate hain gard aankhon mein jab wo be-khwab-e-safar khwab-e-safar hone hain sham kuchh achchha nazar aata hai basti ka saman subh hoti hai to haalat digar hote hain kya hui zabta-e-nzm ki baala-dasti log ab qatl sar-e-rahguzar hote hain rakhna-e-zar-talaban sarzanish-e-tira-shaban aise qisse to yahan sham o sahar hote hain