sitaro tum na so jaana abhi kuchh raat baqi hai adhuri dastan meri hai aur kuchh baat baqi hai main wapas ja raha tha mil ke un se bin kahe lekin mere dil ne pukara thahro un se baat baqi hai hamari manzilen ek hain juda hain raste be-shak magar naqsh-e-qadam har rahguzar par sat baqi hai pahunch kar lenge dam hum manzil-e-maqsud par hamdam yaqin kaamil hai ye dil ko ki us ki zat baqi hai tarannum ban gai aawaz meri jab bhi main roya ye tera zarf hai tu jaanta kya baat baqi hai shab-e-furqat ki ghadiyan ginte ginte umr guzri hai sahaara kya sahar deti ki dil mein raat baqi hai fana hona tha ek din so fana hoti gai har shai na ye baqi na wo baqi faqat ek zat baqi hai sukun-e-dil mayassar ho 'said' us shakhs se kaise abhi to aakhiri manzil pe us ki mat baqi hai