teri yaad hi meri ham-nafas meri umr bhar ka hisab hai jo bigad gai to ajib-tar jo sanwar gai to kitab hai wahi kawishen wahi justuju wahi shohraten wahi rang-o-bu mere shauq-e-khana-kharab ka na sawal hai na jawab hai tere ishq se main sanwar gaya tujhe bhul kar main raha na kuchh tujhe chahna to hai zindagi tujhe bhulna to azab hai jo falak ko chhune chale to hum zamin kah uthi ki ai mohtaram ye bulandi teri to khwab hai ye udan teri sarab hai tera har qadam 'said' imtihan tera har amal tera rahnuma tere naqsh-e-pa ke hisar mein teri manzilon ka hisab hai