sitaron ki duniya se bahar nikal ke

sitaron ki duniya se bahar nikal ke
zamin par qadam-do-qadam dekh chal ke

badal jaega zindagi ka nazariya
kabhi pet ki aag mein dekh jal ke

duhai usulon ki ai dene wale
dikha in usulon pe khud bhi to chal ke

gharibon ki duniya bhi dekh ek nazar tu
adibon ki mahfil se bahar nikal ke

kabhi jhonpdi dekh us ki bhi ja kar
kiye jis ne tamir gumbad mahal ke

murawwat ka un se taqaza hai kaisa
hue hain jawan jo andheron mein pal ke

zamana badalne ki phir baat karna
dikha ird-gird apna pahle badal ke

isi khak mein tujh ko milna hai aakhir
'sada' panw rakhna tu is par sanbhal ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close