sud-o-ziyan ka ishq mein rakhte hisab hain

sud-o-ziyan ka 'ishq mein rakhte hisab hain
kitne gharib dil ke ye ahl-e-nisab hain

kanton baghair kab kahin milte gulab hain
gham ke bina masarraten samjho sarab hain

hum to duhai denge jihaalat ki hashr mein
wo kya jawab denge jo ahl-e-kitab hain

khalwat mein un ki harkaten bas hum se pochhiye
duniya ki jo nigah mein ‘izzat-maab hain

ek shakhs hi se sirf hain mansub sab ke sab
aae jo zindagi mein meri inqalab hain

ek dil mein gar mili na jagah ai 'sada' to kya
tujh se bhi badh ke duniya mein khana-kharab hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close