siyah dard ka ye saeban gir jae hamin pe tut ke kash aasman gir jae kharaba-e-dil-e-tanha na dekha jaega hamin makin hain to hum par makan gir jae main is larazti si diwar-e-dil ka nauha hun jo kahte kahte koi dastan gir jae sambhal sambhal ke utha bar-e-bekasi ka pahad tere jigar pe na sar ki chatan gir jae na aise laung ghuma nak mein hasin mutiyar jo hal chalate hain koi kisan gir jae dua-e-nim-shabi aur yaqin-e-be-asri ki jaise tir se pahle kaman gir jae 'musawwir' aisi hui tang ye zamin hum par badhin jidhar bhi wahin aasman gir jae