soch kar bhi kya jaana jaan kar bhi kya paya jab bhi aaina dekha khud ko dusra paya hont par diya rakhna dil-jalon ki shokhi hai warna is andhere mein kaun muskura paya bol the diwanon ke jin se hosh walon ne soch ke dhundlakon mein apna rasta paya ehtimam dastak ka apni waza thi warna hum ne dar rasai ka bar-ha khula paya falsafon ke dhagon se khinch kar sira dil ka wahm se haqiqat tak hum ne silsila paya umr ya zamane ka khel hai bahane ka sab ne majra dekha kis ne muddaa paya shaeri talab apni shaeri ata us ki hausle se kam manga zarf se siwa paya 'saz' jab khula hum par sher koi 'ghaalib' ka hum ne goya baatin ka ek suragh sa paya