siyah hai dil-e-giti siyah-tar ho jae khuda kare ki har ek sham be-sahar ho jae kuchh is ada se chale baad-e-barg-rez khizan ki dur tak saf-e-ashjar be-samar ho jae bajae rang rag-e-ghuncha se lahu tapke khile jo phul to har barg-e-gul sharar ho jae pade jo hath chaman mein ba-qasd-e-gul-chini misal-e-panja-e-qassab khun mein tar ho jae farogh-e-mahr se ho ikhtilaj-e-qalb-e-fuzun bahana-e-khafaqan jalwa-e-qamar ho jae zamana pi to raha hai sharab danish ko ajab nahin ki yahi zahr kargar ho jae koi qadam na uthe su-e-manzil-e-maqsud dua ye kar ki har ek rah pur-khatar ho jae