shakh meri na ab shajar mera ikhtiyar ab hai aankh-bhar mera aaine mein to aks hai lekin mar dalega mujh ko dar mera kaun jaane kahan kahan jaun ham-safar ab ke hai safar mera aasmanon pe tu raha khamosh ghar gaya tere nam par mera main ne sajde mein sar jhukaya tha le gae sar utar kar mera tujh ko sab se juda bana dunga chhin mat harf ka hunar mera dasht-o-sahra ujad aaya hun dhundhta hun kahan hai ghar mera dast-o-bazu liye zaban mat le aakhiri par tu mat katar mera mu-ba-mu kuchh simat raha hai 'nizam' aur charcha hai dar-ba-dar mera