siyah kamre mein jab subh ka ujala hua zamin-bos hua main falak se tapka hua tum aaftab ko kirnon ki bhik deti hui main ek shab ke andhere mein sans leta hua zamin pe phaili hui dhup us sharare ki aur ek saya mere sath sath bujhta hua kisi ne nind pahan li kisi ki utri hui kisi ne khwab uthaya kisi ka phenka hua ye pahli bar koi jang ras aai mujhe main us tak aa gaya dushman shumar hota hua udas baithi hui dhup sust naw mein hai darun-e-dariya koi jism tilmilata hua