waqt ki zambil palTi aur us tak ja gira

waqt ki zambil palti aur us tak ja gira
jism ka kashkol jis ne bad-dua se bhar diya

aanganon tak aa gai thi raushni taswir ki
dhup ka phaila hua tha sham jaisa zaiqa

mand padne lag gai sare charaghon ki lapak
kis ne bujhte sae ko meri jagah hone diya

raegan hote hue din ko mili rangat ki raat
subh raushan-dan ne manzar ko gadla kar diya

pahle main us aks ki pahchan tak pahuncha faqat
aur phir wo aaina-khana bhi mujh mein zam hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close