siyah-khana-e-ummid-e-raegan se nikal khuli faza mein zara aa ghubar-e-jaan se nikal ajib bhid yahan jama hai yahan se nikal kahin bhi chal magar is shahr-e-be-aman se nikal ek aur rah udhar dekh ja rahi hai wahin ye log aate rahenge tu darmiyan se nikal zara badha to sahi waqiat ko aage tilism-kari-e-aghaz-e-dastan se nikal tu koi gham hai to dil mein jagah bana apni tu ek sada hai to ehsas ki kaman se nikal yahin kahin tera dushman chhupa hai ai 'bani' koi bahana bana bazm-e-dostan se nikal