wo chand ho ki chand sa chehra koi to ho in khidkiyon ke par tamasha koi to ho logo isi gali mein meri umr kat gai mujh ko gali mein jaanne wala koi to ho mujh ko to apni zat ka isbaat chahiye hota hai aur mere alawa koi to ho jis samt jaiye wahi dariya hai samne is shahr se farar ka rasta koi to ho apne siwa bhi main koi aawaz sun sakun wo barg-e-khushk ho ki parinda koi to ho yun hi khayal aata hai banhon ko dekh kar in tahniyon pe jhulne wala koi to ho hum is udhed-bun mein mohabbat na kar sake aisa koi nahin magar aisa koi to ho mushkil nahin hai ishq ka maidan marna lekin hamari tarah nihatta koi to ho