siyah raat ke dariya ko par karte chalo bas ek dusre ko hoshiyar karte chalo ufuq ke nur se gar mutmain na ho pao nasim-e-subh ka to e'tibar karte chalo bator lao zara khud ko chaar samton se safen bana ke badho ab qatar karte chalo qayam tairo kuchh der mere aangan mein tamam ghar ko mere khush-gawar karte chalo tumhaari baat se mujh ko to ittifaq nahin mukhalifon mein mujhe bhi shumar karte chalo usul ek hi hota hai sirf jangal ka shikar bante raho ya shikar karte chalo jo saltanat hai tumhaari to lazmi hai kya chaman tamam ko tum regzar karte chalo khulus kharch karo hath khol kar 'saurabh' lutao pyar dil-o-jaan nisar karte chalo