gulzar mein ye kahti hai bulbul gul-e-tar se dekhe koi mashuq ko aashiq ki nazar se lo aur suno kahte hain wo hum se bigad kar dekho hamein dekho na mohabbat ki nazar se wo utthi wo aai wo ghata chha gai saqi mai-khane pe allah kare tut ke barse mai-khane pe ghanghor ghata chhai hai be-kar khulna ho to khul jae barasna ho to barse kya ishq hai kya shauq hai kya rashk hai kya lag dil jalwa-gah-e-naz mein aage hai nazar se is khauf se mil lete hain wo 'nuh' se akasr tufan na uthae kahin ye dida-e-tar se