siyah-raat pasheman hai ham-rakabi se wo raushni hai tere gham ki mahtabi se saba ke hath hai ab izzat-e-nigah meri chaman mahakne laga gul ki be-hijabi se farar un se hai mushkil wo dastaras mein nahin ye zard zard se mausam wo din gulabi se lahu lahu nazar aati hai shakh-e-gul mujh ko khile wo phul teri taza inqilabi se ajab nahin hai ki pa jaen qafile manzil hamare naqsh-e-qadam ki sitara-tabi se koi kitab jo kholen to kya padhen 'fakhir' khulin nigah mein chehre agar kitabi se