so gaya odh ke phir shab ki qabaen suraj jin ke daman pe chhidakta tha ziyaen suraj aaj tak rakh sameti nahin jati apni hum ne chaha tha hatheli pe sajaen suraj aankh bujh jae to ek jaise hain sare manzar apni binai ke dam se hain ghataen suraj meri palkon pe larazte hue aansu moti mere bujhte hue honton pe duaen suraj zindagi jin ki ho sahra ki masafat 'shahbaz' aise logon ko kabhi ras na aaen suraj