so gaya qabr mein munh Dhanp ke sone wala

so gaya qabr mein munh dhanp ke sone wala
umr bhar rota rahe ab koi rone wala

tut jata hai to ro deta hai rone wala
kyon banata hai khilaune ye khilaune wala

jin ke aangan mein nahin koi bhi rone wala
un gharon se bhi guzarta hai khilaune wala

us ki marzi hai wo mukhtar hai jo chahe kare
meri marzi se kahin kuchh nahin hone wala

mere aamal ki gathdi to mere sar hogi
hai koi bojh mere nam ka dhone wala

phir nahin rakhta khabar apni na duniya ka khayal
justuju mein teri jab khota hai khone wala

ek bhi ashk agar chashm-e-nadamat mein nahin
kaun phir daman-e-isyan ka hai dhone wala

justuju karte raho khair ki ummid rakho
'shad' ho jaega jo kaam hai hone wala


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close