so jaun par kaise soya ja sakta hai us ko band aankhon se dekha ja sakta hai pani par taswir banai ja sakti hai us ka nam hawa par likkha ja sakta hai ab main jitni chahun khak uda sakta hun jitna chahun utna roya ja sakta hai sada-dil dehati tha so man gaya main haalanki us ghar tak rickshaw ja sakta hai kya hum pahle jaise bhai ban sakte hain ek chulhe par baith ke khaya ja sakta hai