bhul sakta hai unhen koi bhi aise kaise raftagan dil mein basa karte hain kaise kaise jaan le kar bhi agar khush nahin hone wala koi batlae wo phir manega waise kaise hanste hanste wo judai ko bhi sah jaega zinda rah paenge lekin mere jaise kaise wo to anmol hai nayab hai iklauta hai us ki tashbih karen hum kisi shai se kaise ye mere yar ki aankhon mein raha karti thi puchhiye kuchh na hui dosti mai se kaise zindagi ye teri raftar ajab tarz ki hai chalna chahen to chalen hum teri lai se kaise zindagi se tujhe be-dakhl to kar den jaanan par tu nikle bhi to nikle rag-o-pai se kaise kis tarah koi bhula de tujhe dekho to 'wasi' mashware hum ko mila karte hain kaise kaise