so usko chhoD diya usne jab wafa nahin ki

so us ko chhod diya us ne jab wafa nahin ki
palat ke hum ne koi us se iltija nahin ki

jigar figar rahe qais se siwa lekin
gae na dasht ko aur chaak bhi qaba nahin ki

khuda ko hazir-o-nazir samajh ke ye kah de
ki hum ne tujh se mohabbat mein intiha nahin ki

magar tu phir bhi gila-mand hai to hota rahe
ki hum ne tujh se wafa ki nahin to ja nahin ki

zaruraten to kai tarah ki rahin darpesh
amir-e-shahr ke dar par kabhi sada nahin ki

khafa kiya hai khuda ko to bar-ha lekin
khuda ka shukr khafa khilqat-e-khuda nahin ki

rahi hai dil hi mein rudad apne dukh ki sukun
kahin kaha nahin ki aur kahin suna nahin ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close