thandi hai ya garm hawa hai us ko kya is ki parwa hai kitni gahri khamoshi hai kitna gahra sannata hai hai darpesh masafat kaisi ek zamana hanp raha hai jangal to tai kar aae hain aage ek sahra padta hai agle pal kiya jaane kya ho ab to yahi dhadka rahta hai koi nahin hai sath tumhaare apne hi qadmon ki sada hai kaun hai wo khush-qismat dekhen jis ko sabr ka ajr mila hai yar 'sukun' shikayat kaisi tera apna kiya dhara hai