soch ka ek jalta sa diya hai soya hua dukh jag utha hai chehra chehra bojh thakan ka aadhe raste par baitha hai gahri yaadon ka suraj bhi dhire dhire dub chala hai aag laga kar apne ghar ka koi tamasha dekh raha hai khali hath aur khali chehre pani rasta dhundh raha hai kirnon ki matwali faza mein suraj sa ek thaal gada hai raste jate hain ganw ko shahr ne chehra badal liya hai mujh mein koi bas jae phir khali kamra bol raha hai dur chalen 'makhdum' yahan se ek udte panchhi ne kaha hai