hum aaine mein jawani talash karte rahe

hum aaine mein jawani talash karte rahe
mohabbaton ki kahani talash karte rahe

hamare dil pe ajab iztirab tari raha
nazar nazar mein kahani talash karte rahe

shuur mazi ke karb-o-bala mein uljha raha
sharab hum bhi purani talash karte rahe

hamare azm ki buniyaad kitni gahri thi
wo ek ghadi thi suhani talash karte rahe

nasihaton ka asar hum pe khak bhi na hua
kisi ki baat na mani talash karte rahe

tere firaq mein rona bahut zaruri tha
hum apni aankh mein pani talash karte rahe

tumhaare qurb ke mausam kidhar gae 'tariq'
kidhar gai wo jawani talash karte rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close