soch ki mauj-e-rawan le ke kidhar aai hai ye samundar ka kinara hai ki gahrai hai kaun hai jis ne hila dala mera sara wajud meri aawaz kis aawaz se takrai hai shohraten had se guzar jaen to ye dhyan rahe mausam-e-namwari mausam-e-ruswai hai apne atraf bahut bhid ke hote hue bhi main jahan hun wahan tanhai hi tanhai hai us ke phaldar darakhton pe na patthar phenko ye mere ghar ki nahin dard ki angnai hai wo jo chup-chap hai us ko nazar-andaz na kar khamushi asl mein sarmaya-e-danai hai